logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - ayaz hussain zaidi - 2024

Chalo chale karbala

Karbala karbala karbala Haq ka sidha rasta karbla
Karbala karbala karbala Hai humari darsgah karbla
Chalo chalen Karbala chalo chalen Karbala
Her ek dil ki h sada Chalo chalain karbala

1.
Gar riza ho aapki to badhen mere qadam
Phir jari ka hath me main uthaoonga alam
Dil bhi ro raha hai ab aankh bhi hai meri nam
Bas yahi hai aarzu Dekh lun Tera haram
Badshahe Karbala fatima ka wasta
Is baras main tae karun arbaee,n ka rasta

Karbala karbala karbala Haq ka sidha rasta karbla
Karbala karbala karbala Hai humari darsgah karbla
Chalo chalen Karbala chalo chalen Karbala
Bane Safira E Azaa Chalo chalain karbala

2.
Dekhta hun jab kabhi zaereen aapke
Be tahasha girte hain ashk meri aankh se
Aesa na ho ke qaza dhadkano,n ko tham le
Is se pehle Karbala mujhko bhi dikhaiye
Aap to kareem hain kardo ab karam zara
Moula kuchh na chahiye chahun bas main Karbala

Karbala karbala karbala Haq ka sidha rasta karbla
Karbala karbala karbala Hai humari darsgah karbla
Chalo chalen Karbala chalo chalen Karbala
Her ek dil ki h sada Chalo chalain karbala

3.
Deen bhi Hussain hain dee,n panah Hussain hain
Shaha bhi Hussain hain badsha Hussain hain
Jis jagah hai la ilah us jagah Hussain hain
Asl me nijaat ka tarjuma Hussain hain
Khuda ki baargaah Mai apna sab luta diya
Is liye khuda ne sheh ko badshah bana dya

4.
Dekhna har ek wada apna main nibhaoonga
Main Najaf se Karbala nange pair jaonga
Dam badam qadam qadam hussain ko bulaoonga
Karbala se Karbalai ban ke main dikhaonga
Muztarib hai dil mera hai yahi meri dua
Banaa de zaere Hussain mujhko is dafa khuda

5.
Main Roza e jari ko chum kar Hussain ki taraf
Jhukaoonga adab se apna sar Hussain ki taraf
Badhunga main salam karke phir Hussain ki taraf
Bulaenge mujhe haram ke dar Hussain ki taraf
Ye roke hale dil tumhe mola main sunaoonga
Musibato'n pe aapki ashq Mai bahaoonga

6.
Khuda ke dee ki zinaten badhain hain Hussain ne
Ibadaton ki azmaten btain hain Hussain ne
Sina se aayate Quran,n sunain hain Hussain ne
Kul ambiya ki mehnaten bachain hain Hussain ne
Main kya btaon martaba Fatima ke chain ka
Sab khudai le rahi hai nam bas Hussain ka

7.
wo jis jagah sageer ke laga tha tire hurmula
Jigar jahan pe akbar e Hazee,n ka jhalni ho gya
Kalam hue the jis jagah pe shane tere bawafa
Tadap rahi thi zindagi bhi sar jhukaye thi qaza
karunga matam E Azaa jake har shaheed ka
Ai Saba sada meri leke ja ye Karbala

8.
main jake dekhun wo jagah Hussain jis jagah gire
Utha ke bazuye jari jahan kai dafa gire
Kamar ko tham kar zami'n pe Ibne fatima gire
Kaha,n ho mere sher kehke suye alqama gire
Karunga ehtraam sar jhuka ke us maqaam ka
Lahu jahan jahan gira h mere imam ka

9.
Karbala ki dastaan hai haqeeqate Hussain
Saif kis tarah likhe ayaz ghurbate Hussain
Khoon ro rahi hai ab bhi haye turbate Hussain
Ham bhula na paenge kabhi shahadate Hussain
Maqtale hussain se aa rahi hai ye sada
Ya Hussain ya Hussain aye shahide Karbala

HomebookmarkmybayaazSetting